| Kuch toh soch k hu pareshan mai | |
| Ek alag sa nasha hain ye shaam mei | |
| Boldo zara kya ho tum ek noor | |
| Jo leke chale mujhe kahi dur | |
| Yeh hawao mei, yeh hawao se | |
| Baatein karna chahu mai, yeah | |
| Lagta hain chal raha hu mai sidhe | |
| Lekin hain ye duniya toh gol | |
| Karte saare baatein mujhse pyaar se | |
| Phir bhi har baat mei kyon lagta hain jhol | |
| Haat mei plate, chai, chatni aur char puri | |
| Hastey hum roz par rona bhi hain zaruri | |
| Maan karta hain sota rahu sara din | |
| Par paisa kamana bhi hain yaha pe majburi | |
| Waise pita hu mai dosto k saath | |
| Masti mei jhumte hum saari raat par | |
| Aaj khatam kardi maine akele | |
| Kyon ki ye jaam mei hain kuch alag hi baat | |
| Maan karta hain ji bhar k ro du | |
| Maan karta hain jo bhi maan mei hain boldu | |
| Boley maine jhut bohot saare logo ko | |
| Maan karta hain sara chitta mai kholdu | |
| Khud ki hi baato se mai hu khafa | |
| Soch raha hu kya du saja | |
| Mujhe mere apno se milade | |
| Mujhe thoda sa aur pilade | |
| Khushiyo ko dhundne mai hu chala | |
| Kuch toh soch k hu pareshan mai | |
| Ek alag sa nasha hain ye shaam mei | |
| Boldo zara kya ho tum ek noor | |
| Jo leke chale mujhe kahi dur | |
| Yeh hawao mei, yeh hawao se | |
| Baatein karna chahu mai, yea | |
| Kaun pith piche baat karein mera | |
| Bhai meko nahi jaanna | |
| Aaj thoda jyada pi liya | |
| Bhai bura maat maanna | |
| Mai toh har waqt aage badne ki kosis mei | |
| Kuch hoga bada tera bola tha jotish ne | |
| Par saapne hain kai | |
| Aur aaj bhi hu wahi | |
| Baap boley woh galat jo mujhe lagta hain sahi | |
| Mujhe karna hain kya | |
| Aur karta hu kya | |
| Sochta hu ek chiz | |
| Bolta hu kya | |
| Saare dost apne life mei mast hain | |
| Puchne se bolte life jabardast hain | |
| Dhime dhime se meri aakhein ho rahi hain band | |
| Bhul k gum tu jhum k naach bole mera maan | |
| Par mera mind hain out of control | |
| Bole mujhe aab sone do | |
| Khushiyo ko dhund ne mai hu chala | |
| Kuch toh soch k hu pareshan mei | |
| Ek alag sa nasha hain ye shaam mei | |
| Boldo zara kya ho tum ek noor | |
| Jo leke chale mujhe kahi dur | |
| Yeh hawao mei, yeh hawao se | |
| Baatein karna chahu mai, yea | |
| Lai bari lai bari lai | |
| Lai bari lai bari lai | |
| Lai bari lai bari lai | |
| Lai bari lai bari lai | |
| Lai bari lai bari lai | |
| Lai bari lai bari lai | |
| Lai bari lai bari lai | |
| Lai bari lai bari lai |