Aman Ki Asha - Rahat Fateh Ali Khan Dikhayi dete hain door tak ab bhi saaye koi Magar bulane se waqt laute na aaye koi Chalo na phir se bichaye dariya, bajaye dholak Laga ke mehndi, surile tappe sunaye koi Patang udaye, udaye Patang udaye, chatton pe chadke mohalle wale Falak to sanja hai, uss mein paiche ladaye koi Utho, utho kabaddi kabaddi khelenge sarhadon par Jo aaye ab the to laut kar phir na jaaye koi Nazar mein rehte ho, jab tum nazar nahi aate Ye sur milate hain, jab tum idhar nahi aate Nazar mein rehte ho, jab tum nazar nahi aate Ye sur bhulate hain, ye sur bhulate hain Jab tum idhar nahi aate Ye sur milate hain, jab tum idhar nahi aate