Sooraj tera, gardish mein hai Dhalte huye keh gaya Phir laut ke, aaunga main Nazdeek hi hai subah Gaaye ja, gaaye ja Ghum mein hai sargam Gun-guna ye dhun, gaaye ja Gaaye ja, gaaye ja Raat ke dhaago se savera bun, gaaye ja Gaaye ja, gaaye ja Ghum mein hai sargam Gun-guna ye dhun, gaaye ja Apna hi apna, kyun kehlaaya hai Kaise koi, tai karta hai Kaun paraaya hai Ek wahi rishta, teri kamaai hai Dard ke pal mein, jisne tera Saath nibhaaya hai Toota huya, toh kya, sitaara tu Kisi ka ban, sahara tu Gaaye ja, gaaye ja Raat ke dhaago se savera bun, gaaye ja Gaaye ja, gaaye ja Ghum mein hai sargam Gun-guna ye dhun, gaaye ja Ho. Aankhon mein rakhna, sapne tu kal ke Tujhko lekin, unn tak jaana hoga Khud chal ke Maj-dhaaro se tu, haar nahi jaana Saahil tujhko, paana hoga Lehron mein dhal ke Hai zindagi wahi, jo chalti hai Ye gir ke hi, sambhalti hai Aa. aa.