Kyon na hum tum Chale tedhe medhe se Raston pe nange paanv re Chal bhatak lena baawre Kyon na hum tum Phire jaake almast Pehchani raahon ke pare Chal bhatak lena baawre In tim-timati nigahon mein In cham-chamati adaon mein Luke huye, chupe huye Hai kya khayal baawre Kyon na hum tum Chale zindagi ke nashe mein Hi dhut sarphire Chal bhatak lena baawre Kyon na hum tum Talashein bageechon mein Fursat bhari chhanv re Chal bhatak lena baawre In gun-gunati fizaon mein In sar-sarati hawaon mein Tukur tukur yoon dekhe kya Kya tera haal baawre Na lafz kharch karna tum Na lafz kharch hum karenge Nazar ke kankadon se Khamoshiyon ki khidkiyan yoon todenge Milake mast baat phir karenge Na harf kharch karna tum Na harf kharch hum karenge Nazar ki syahi se likhenge Tujhe hazaar chithiya khamosh jhidkiya Tere pate pe bhej denge Sun khan-khanati hai zindagi Le hum mein bulati hai zindagi Joh karna hai woh aaj kar Na isko taal baawre Kyon na hum tum Chale tedhe medhe se Raston pe nange paanv re Chal bhatak lena baawre Kyon na hum tum Phire jaake almast Pehchani raahon ke pare Chal bhatak lena baawre In tim-timati nigahon mein In cham-chamati adaon mein Luke huye, chupe huye Hai kya khayal baawre