Sunne walon suno aisa bhi hota hai Dil deta hai jo woh jaan bhi khota hai Pyaar aisa jo karta hai Kya mar ke bhi marta hai Aao tum bhi aaj sun lo Dastaan hai yeh Ke ik tha naujawan jo dil hi dil mein Ek haseena ka tha deewana Woh haseena bhi ke jiski khoobsoorti Ka duniya bhar mein tha mashhoor afsana Donon ki yeh kahani hai jisko sabhi Kehte hain Om Shanti Om Naujawan ki thi aarzoo Uski thi yeh hi justzoo Us haseena mein usko mile Ishq ke saare rang boo Naujawan ki thi aarzoo Uski thi yeh hi justzoo Us haseena mein usko mile Ishq ke saare rang boo Usne na jaana yeh nadani hai Woh rait ko samjha ke paani hai Kyun aisa tha kis liye tha Yeh kahani hai Dastaan hai yeh ke us dilkash haseena ke Nigahon, dil mein koi doosra hi tha Bekhabar is baat se us naujawan ke khwaabon ka Anjaam to hona bura hi tha Toote khwaabon ki is dastan ko sabhi Kehte hain Om Shanti Om Sunne walon suno aisa bhi hota hai Koi jitna hanse utna hi rota hai Deewani hoke haseena Khayi kya dhokhe haseena Aao tum bhi aaj sun lo Dastaan hai yeh ke us maasoom haseena ne Jise chaha woh tha andar se harjayi Sang dil se dil laga ke Bewafa ke haath aake Usne ik din maut hi paayi Ik sitam ka fasana hai jisko sabhi Kehte hain Om Shanti Om Kyon koi qaatil samajhta nahin Yeh jurm woh hai jo chhupta nahin Yeh daag woh hai jo mit'ta nahin Rehta hai khooni ke haath par Khoon us haseena ka jab tha hua Koi wahan tha pahunch to gaya Lekin use woh bacha na saka Roya tha pyaar uski baat par Daastan hai yeh Ke jo pehchanta hai khooni ko Woh naujawan hai laut ke aaya Keh rahi hai zindagi qaatil samajh le Uske sar pe chha chuka hai maut ka saya Janmon ki, karmon ki hai kahani jise Kehte hain Om shanti om Kehte hain Om shanti om Kehte hain Om shanti om