Audition

Song Audition
Artist Icon
Album CHAPTER 7

Lyrics

Wo jo basti dekh rahe ho na saab
Mera ghar hai wo
Mera baap waha chai ke baghaan me kaam kiya karta tha
Bada hasmuk insaan tha saab wo
Sabki bohot madad karta tha
Worker log bohot izzat karte the saab uski
Union ka bada leader tha na wo
Mujhe mere baap se bohot khushi mili saab bohot khushi
Wo jo pedh dekg rahe ho na saab
Mera baap roz mujhe waha jhula jhulata tha
Jhula upar aur upar aur upar
Jhula saye saye saye
Aur jab jhula neeche aata tha na saab
To pet me kesa lagta tha
Bade acche din the saab wo bade acche din the ...
Phir saab ek din police aayi aur mere baap ko utha kar chali gayi saab
Yaha tak meri maa tak mujhe chodh kar chali gayi saab
Kitte ka raha honga me itta sa raha honga
Chali gayi saab wo
Me rota raha bilakta raha chillata raha
Magar majal ho ki kisi ne paani ke liye bhi pucha ho sab
Is duniya me koi nahi hota hai apna saab koi nahi